Bayan Meeruti

charagh-e-husn hai raushan kisi ka

Bayan Meeruti

Jhansi, Uttar pradesh, India

1840-1900
charāġh-e-husn hai raushan kisī kā
hamārā ḳhuun hai roġhan kisī kā
abhī nādān haiñ mahshar ke fitne
raheñ thāme hue dāman kisī kā
dil aayā hai qayāmat hai mirā dil
uThe tāzīm de jauban kisī kā
ye mahshar aur ye mahshar ke fitne
kisī kī shoḳhiyāñ bachpan kisī kā
adā.eñ tā-abad bikhrī paḌī haiñ
azal meñ phaT paḌā jauban kisī kā
kiyā talvār ne ghuñghaT mire ba.ad
na muñh dekhegī ye dulhan kisī kā
hamārī ḳhaak mahshar tak uḌī hai
na haath aayā magar dāman kisī kā
bajā.e gul mirī turbat pe hoñ ḳhaar
ki uljhe gosha-e-dāman kisī kā
'bayāñ' barq-e-balā chitvan kisī kī
dil-e-pur-ārzū ḳhirman kisī kā
Top Urdushayar.com