Bayan Meeruti

misl-e-hubab-e-bahr na itna uchhal ke chal

Bayan Meeruti

Jhansi, Uttar pradesh, India

1840-1900
misl-e-hubāb-e-bahr na itnā uchhal ke chal
haiñ saath saath mauj-e-havādis sambhal ke chal
barg-e-ḳhizāñ-rasīda se aatī thī ye sadā
is bāġh-e-sabz par kaf-e-afsos mal ke chal
darpai nahañg-e-marg hai darpesh chāh-e-gor
mastī na kar havās meñ aa mat machal ke chal
sote haiñ log taar haiñ kūche guzar hai tañg
tārīk shab hai saath charāġh-e-amal ke chal
ai tan-parast jāma-e-sūrat kasīf hai
bazm-e-huzūr-e-dost meñ kapḌe badal ke chal
aatī hai zer-e-ḳhāk se āvāz har qadam
uftādgān-e-rāh ke sar mat kuchal ke chal
kab tak kasāfatoñ meñ rahegā ba-rañg-e-sard
āb-e-ravāñ kī tarah nikal aur nikal ke chal
juuñ sham.a tujh ko ātish-e-ġham se gurez kyuuñ
sar par dharī hai aag qadam tak pighal ke chal
juuñ naḳhl-e-sham.a barq-e-tajallī gire kahīñ
dāġhoñ se ābloñ se 'bayāñ' phuul phal ke chal
Top Urdushayar.com