Bayan Meeruti

wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai

Bayan Meeruti

Jhansi, Uttar pradesh, India

1840-1900
vo dariyā-bār ashkoñ kī jhaḌī hai
ki hūt-e-āsmāñ tah meñ paḌī hai
mire armāñ butoñ kī sard-mehrī
zrā.at barf ke paale paḌī hai
chaman meñ sarv kā bahrūp bhar kar
qayāmat muntazar kis kī khaḌī hai
dahān-e-tañg ġhuncha patiyāñ lab
hañsī hai phuul fiqara pañkhuḌī hai
lagā dī aag kis sho.ala ne bulbul
har ik phūloñ kī Tahnī phuljhaḌī hai
nigāh-e-yās kis kī kar ga.ī choT
ki gardan teġh kī Dhalkī paḌī hai
anāsir jald pahuñchā deñge tā-gor
nihāyat tez-rau ye chaukḌī hai
kafan se muñh lapeTe merī hasrat
dil-e-vīrāñ ke kone meñ paḌī hai
sirhāne mudda.ī aayā to jaanā
judā.ī kī ghaḌī sar par khaḌī hai
kisī ko paar utāregā falak kyā
usī kī naav chakkar meñ paḌī hai
banā le aql aag kā putlā falātūñ
ki talchhaT kuchh mire ḳhum meñ paḌī hai
nasha hai aur hiran haiñ us kī āñkheñ
nazar-bāzī hiran kī chaukḌī hai
nigāh-e-shauq se siina churāyā
hamārī choT tum se bhī kaḌī hai
balā-e-zulf-e-mehmāñ se kahūñ kyā
nahīñ Taltī mire sar aa paḌī hai
syāhī duur hogī rafta rafta
abhī zāhid kī dāḌhī kaḌbaḌī hai
sar-e-mahshar baḌhī hai kis qadar zulf
qayāmat kis qadar ochhī paḌī hai
guhar-bīñ hai nizām-ul-mulk apnā
tabī.at kyā 'bayāñ' qismat laḌī hai
Top Urdushayar.com