ā.eñge gar unheñ ġhairat hogī
vo na aa.e to qayāmat hogī
hashr meñ kaun sunegā fariyād
sadd-e-rah hadd-e-samā.at hogī
nañg-e-nazzāra hai ham chashma-e-ām
ham na dekheñge jo rūyat hogī
yak taraf ho ke raheñge yak-rañg
ham ko a.arāf se nafrat hogī
shikva hai dīn-e-vafā meñ ehdās
mujh se kaahe ko ye bid.at hogī
haiñ qayāmat meñ tāmmul kyā kyā
vasl kī kaun sī saa.at hogī
reg huuñ chāhiye dariyā-e-sharāb
mai-kade par na qanā.at hogī
hai shab-e-vasl-e-do-ālam gesū
vo jabīñ sub.h-e-shahādat hogī
bahr-e-rahmat hai do-ālam ko muhīt
mere mashrab kī sī vus.at hogī
mai se ālūda huā dāman-e-husn
muttahim ḳhuun kī tohmat hogī
khīñchtā thā koī un kā dāman
ḳhaak meñ vasl kī hasrat hogī
raas hai chāra-e-bil-misl mujhe
qaid se aur bhī vahshat hogī
sho.ala-rū paḌhte haiñ kalima terā
sham.a añgusht-e-shahādat hogī
ġhair kī aag meñ jalne na diyā
husn kī sī kise ġhairat hogī
vāshuda ġhuncha-e-ḳhātir mat maañg
muntashir bū-e-mohabbat hogī
zahr lagtī hai unheñ merī hayāt
kyuuñ ki manzūr-e-shahādat hogī
khā ga.e nargis-e-shahlā kā fareb
ki un āñkhoñ meñ muravvat hogī
terī zulfoñ ne chaḌhā.e chille
dil kī is kūche meñ turbat hogī
ban ga.e saat jahannum tah-e-ḳhāk
kis ke pahlū meñ ye hiddat hogī
kahīñ sar phoḌ ke mar rahiye 'bayāñ'
ik jahāñ se to farāġhat hogī