ḳhaak kartī hai ba-rañg-e-charḳh-e-nīlī-fām raqs
har do-ālam ko tirā rakhtā hai be-ārām raqs
dekhiye piirī kā haal aur dekhiye rīsh-e-safed
shaiḳh sāhab nā-munāsib hai ye be-hañgām raqs
ablaq-e-chashm-e-butāñ kī shoḳhiyāñ chakrā ga.iiñ
āsmāñ par mehr-o-mah karte haiñ sub.h-o-shām raqs
ho haqīqī yā majāzī ishq kī hālat na pūchh
ḳhānqa meñ mai hai aur mai-ḳhāne meñ badnām raqs
saumi.a meñ vaj.h-e-sad-tahsīñ huā suufī kā haal
mai-kade meñ aan kar kyuuñ ho gayā badnām raqs
nargis-e-maḳhmūr-e-jānāñ Daal detī gar nigāh
mardum-e-chashm-e-butāñ kī tarah kartā jaam raqs
āshiqāñ abrū-e-but kī hai taa.at iztirāb
thī namāz ahl-e-haram jab tak na thā islām raqs
gird phirtā huuñ jo is bar ke to vaa.iz kyā huā
tauf meñ kartā hai tū bhī bāñdh kar ehrām raqs
shoḳh ne barham nizām-e-mahfil-e-imkāñ kiyā
ḳhaak ne chheḌā hai gardūñ ne liyā hai thaam raqs
pā.emāl-e-ġham pise jaate haiñ surme kī tarah
le uḌī kis ke qadam se gardish-e-ayyām raqs
terī shoḳhī se tirī raftār se ai rashk-e-bāġh
chaukḌī bholā hiran tā.ūs-e-gul-andām raqs
aish jāved un ko hāsil hai jo haiñ terī taraf
tā.er-e-qibla-numā kartā hai sub.h-o-shām raqs