sar-e-shorīda pā-e-dasht-e-paimā shām-e-hijrāñ thā
kabhī ghar thā bayābāñ meñ kabhī ghar meñ bayābāñ thā
tire kushte ko mahshar ḳhvāb-e-āsā.ish kā sāmāñ thā
ki suur afsāna-go thā zalzala gahvāra-jumbāñ thā
jise sab nuuh ke farzand kahte haiñ ki tūfāñ thā
kisī jāñ-dāda-e-ḳhāmosh kā andoh-e-pinhāñ thā
balā se chuur kar do chuur kar do shīsha-e-dil ko
isī meñ qaid hasrat thī isī meñ band armāñ thā
na kholī aañkh vaqt-e-naz.a bīmār-e-mohabbat ne
kisī kā parda rakhnā thā koī āñkhoñ meñ pinhāñ thā
akele ai buto ham bhī na so.e kunj-e-marqad meñ
jo is pahlū meñ hasrat thī to us pahlū meñ armāñ thā
ga.e the rauñdne dil ko liye baiThe haiñ talvoñ ko
faro rag rag meñ nashtar the nihāñ nas nas meñ paikāñ thā
mirī hastī kī mahshar meñ koī ta.abīr kyā kartā
kisī zulf-e-pareshāñ kā maiñ ik ḳhvāb-e-pareshāñ thā
qayāmat tak pas-az-murdan rahī ik Tiis sī dil meñ
vo kahte haiñ ki paikāñ thā maiñ kahtā huuñ ki armāñ thā
huzūr-e-bulbul-e-kilk-e-'bayāñ' kis tarah khulte muñh
ki bū-e-ġhuncha saañ mahjūb nutq-e-har-suḳhan vaañ thā