lahū Tapkā kisī kī aarzū se
hamārī aarzū Tapkī lahū se
ye hai kis kā soyam pūchhā adū se
ki dam hai naak meñ phūloñ kī bū se
vo bachcha parvarish kartī hai ulfat
jo paikāñ porve kī tarah chūse
ye TūTegī havā-e-gul se vaa.iz
mirī tauba ko kyā nisbat vuzū se
use kahte haiñ qumrī tauq-e-ulfat
chhurī lipTī huī hai yaañ gulo se
ye tāsīr-e-mohabbat hai ki Tapkā
hamārā ḳhuuñ tumhārī guftugū se
vo haiñ kyuuñ husn ke parda pe nāzāñ
ye sīkhā hai hamārī guftugū se
kiyā hai dāman-e-mahshar ko afshāñ
uḌe chhīñTe ye kis kis ke lahū se
sunā hai jaam thā jamshed ke paas
are saaqī faqīroñ ke kadū se
vo sharmīlī nigāheñ kah rahī haiñ
haTā do aks ko bhī rū-ba-rū se
lab-e-gul-rañg par hai ḳhāl-e-mushkīñ
magas aur phuul kī pattī ko chūse
'bayāñ' ḳhauf-e-gunah se mar chuke the
magar jaañ aa ga.ī lā-taqnatū se