tah-e-girdāb to bachnā mirā dushvār hai phir bhī
kināre duur haiñ TuuTī huī patvār hai phir bhī
thakan se chuur huuñ, sar rakh diyā hai us ke siine par
mujhe ma.alūm hai ye ret kī dīvār hai phir bhī
matā-e-rishta-e-jāñ kārobār-e-manfa.at kab thī
ḳharīdāroñ ke halqe meñ sar-e-bāzār hai phir bhī
mirī muTThī meñ nāzuk pañkhuḌī mahfūz rahtī hai
bachānā sañg-bārī meñ use dushvār hai phir bhī
tire lahje kī shabnam jazb kar de kuchh namī is meñ
agarche dil sulagtī ret kā ambār hai phir bhī
charāġh-e-ārzū hai muntazir dahlīz par merī
vo duurī ke dhuñdlakoñ meñ bahut lāchār hai phir bhī
samundar tishnagī kā ab sarāb-e-ishq meñ zam hai
shikasta haal merā shīsha-e-pindār hai phir bhī
ye miTī chaak par thamtī nahīñ hai, itnī giilī hai
kaThin ye marhala hai, kūza-gar lā-chār hai phir bhī