maqtal se jab guzar ke harīfāna aa.iye
ik dasht-e-be-kanār meñ phir ghar banā.iye
tārīk ho na paa.e kabhī dāman-e-falak
palkoñ se tā-ba-sub.h sitāre jalā.iye
hone na paa.e phūloñ kā muhtāj gulistāñ
dil ke hazār zaḳhm hamesha khilā.iye
chehroñ ko qaid se hue āzād gar kabhī
bikhre hue vajūd ko kaise bachā.iye
sāhil na de sakā hai sahārā to kyā huā
gardāb ko asīr-e-safīna banā.iye