apne hone ke jo āsār banāne haiñ mujhe
jaane kitne dar-o-dīvār banāne haiñ mujhe
ḳhud ko rakhnā bhī nahīñ jins-e-girāñ kī sūrat
bikne vāloñ ke bhī me.aar banāne haiñ mujhe
tere qadmoñ meñ bichhāne haiñ zamīnī raste
aur apne liye kohsār banāne haiñ mujhe
apne jaisā koī dushman bhī zarūrī hai bahut
tere jaise bhī ka.ī yaar banāne haiñ mujhe
silsila TuuT na jaa.e mirī vahshat kā kahīñ
naqsh qadmoñ ke lagātār banāne haiñ mujhe
tū kabhī dhuup meñ nikle bhī to chhāñv meñ rahe
rāste aur bhī chhitnār banāne haiñ mujhe
maiñ rahūñ yā na rahūñ terī kahānī to rahe
apne jaise ka.ī kirdār banāne haiñ mujhe