Fazil Jamili

kahin se nile kahin se kale paDe hue hain

Fazil Jamili

Pind khan Khel, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1968
kahīñ se niile kahīñ se kaale paḌe hue haiñ
hamāre pairoñ meñ kitne chhāle paḌe hue haiñ
kahīñ to jhuknā paḌegā nān-e-javīñ kī ḳhātir
na jaane kis ke kahāñ nivāle paḌe hue haiñ
vo ḳhush-badan jis galī se guzrā thā us galī meñ
ham aaj bhī apnā dil sambhāle paḌe hue haiñ
hamārī ḳhātir bhī fātiha ho barā.e-baḳhshish
ham āp-apne pe ḳhaak Daale paḌe hue haiñ
shahīd haiñ ham hameñ kabhī raftagāñ na samjho
na jaane kab se ajal ko Taale paḌe hue haiñ
kaho to de deñ ham aaj tum ko hisāb-e-mastī
ki ham ne jitne bhī jaam uchhāle paḌe hue haiñ
hamārī āñkhoñ meñ jab se utrā hai chāñd koī
hamārī āñkhoñ ke gard haale paḌe hue haiñ
abhī to ham ne ye zindagī us ke naam kī hai
abhī to jaañ ke ka.ī izāle paḌe hue haiñ
yaqīñ nahīñ hai ḳhud apne hone kā ham ko varna
ka.ī misāleñ ka.ī havāle paḌe hue haiñ
hamāre kamre meñ us kī yādeñ nahīñ haiñ 'fāzil'
kahīñ kitābeñ kahīñ risāle paḌe hue haiñ
Top Urdushayar.com