mere hoñToñ pe tere naam kī larzish to nahīñ
ye jo āñkhoñ meñ chamak hai koī ḳhvāhish to nahīñ
rañg malbūs hue lams huī hai ḳhush-bū
aaj phir shahr meñ phūloñ kī numā.ish to nahīñ
ek hī saañs meñ dohrā.e chale jaate haiñ
ye mohabbat kahīñ alfāz kī varzish to nahīñ
dekhtā rahtā huuñ chup-chāp guzarte bādal
ye ta.alluq bhī koī dhuup kī bārish to nahīñ
tum kabhī ek nazar merī taraf bhī dekho
ik tavaqqo hī to hai koī guzārish to nahīñ
mil bhī jaa.eñ kahīñ āñkheñ to marammat na kareñ
ham meñ aisī koī talḳhī koī ranjish to nahīñ