Fazil Jamili

KHumar-e-shab mein tera nam lab pe aaya kyun

Fazil Jamili

Pind khan Khel, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1968
ḳhumār-e-shab meñ tirā naam lab pe aayā kyuuñ
nashe meñ aur bhī the maiñ hī laḌkhaḌāyā kyuuñ
maiñ apne shahr kī har rahguzar se pūchhtā huuñ
paḌā huā hai yahīñ vahshatoñ kā saayā kyuuñ
koī to dard hai aisā jo khīñchtā hai use
mire hī dil kī taraf lauT kar vo aayā kyuuñ
kisī nigāh kā maiñ husn-e-intiḳhāb na thā
to zindagī ne mujhe hī phir āzmāyā kyuuñ
kisī diye se gilā bhī kareñ to kaise kareñ
parā.e ghar kī muñDeroñ pe jagmagāyā kyuuñ
mujhe sambhāl ke rakhnā thā ai nigār-e-vatan
galī galī meñ lahū kī tarah bahāyā kyuuñ
maiñ gir paḌā thā kahīñ bebasī ke aalam meñ
mujhe uThā ke kisī ne gale lagāyā kyuuñ
Top Urdushayar.com