Fazil Jamili

mere wajud ko parchhaiyon ne toD diya

Fazil Jamili

Pind khan Khel, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1968
mire vajūd ko parchhā.iyoñ ne toḌ diyā
maiñ ik hisār thā tanhā.iyoñ ne toḌ diyā
baham jo mahfil-e-aġhyār meñ rahe the kabhī
ye silsila bhī shanāsā.iyoñ ne toḌ diyā
bas ek rabt nishānī thā apne purkhoñ kī
ise bhī aaj mire bhā.iyoñ ne toḌ diyā
tū be-ḳhabar hai magar niind se bharī laḌkī
mirā badan tirī añgḌā.iyoñ ne toḌ diyā
ḳhizāñ kī rut meñ bhī maiñ shāḳh se nahīñ TuuTā
mujhe bahār kī purvā.iyoñ ne toḌ diyā
mirā bharam thā yahī ek merī tanhā.ī
ye ik bharam bhī tamāshā.iyoñ ne toḌ diyā
Top Urdushayar.com