Fazil Jamili

KHizan ka rang daraKHton pe aa ke baiTh gaya

Fazil Jamili

Pind khan Khel, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1968
ḳhizāñ kā rañg daraḳhtoñ pe aa ke baiTh gayā
maiñ tilmilā ke uThā phaḌphaḌā ke baiTh gayā
kisī ne jaam uchhālā ba-nām-e-shām-e-alam
koī malāl kī vahshat chhupā ke baiTh gayā
milā na jab koī mahfil meñ ham-nashīnī ko
maiñ ik ḳhayāl ke pahlū meñ jā ke baiTh gayā
purāne yaar bhī aapas meñ ab nahīñ milte
na jaane kaun kahāñ dil lagā ke baiTh gayā
mile baġhair bichhaḌne ko kyā kahā jaa.e
bas ik ḳhalish thī jise maiñ nibhā ke baiTh gayā
maiñ apne aap se aage nikalne vaalā thā
so ḳhud ko apnī nazar se girā ke baiTh gayā
kise ḳhabar thī na jā.egī dil kī vīrānī
maiñ ā.īnoñ meñ bahut saj-sajā ke baiTh gayā
Top Urdushayar.com