suḳhan jo us ne kahe the girah se bāñdh liye
ḳhayāl usī ke the sau sau tarah se bāñdh liye
vo ban-sañvar ke nikaltī to chheḌtī thī sabā
phir us ne baal hī apne sabā se bāñdh liye
mile baġhair vo ham se bichhaḌ na jaa.e kahīñ
ye vasvase bhī dil-e-mubtalā se bāñdh liye
hamāre dil kā chalan bhī to koī Thiik nahīñ
kahāñ ke ahd kahāñ kī fazā se bāñdh liye
vo ab kisī bhī vasīle se ham ko mil jaa.e
so ham ne apne irāde duā se bāñdh liye
maiñ ik thakā huā insān aur kyā kartā
tarah tarah ke tasavvur ḳhudā se bāñdh liye