zindagānī ko adam-ābād le jaane lagā
har guzartā din kisī kī yaad le jaane lagā
ek mahfil se uThāyā hai dil-e-nāshād ne
ek mahfil meñ dil-e-nāshād le jaane lagā
kis taraf se aa rahā hai kārvāñ asbāb kā
kis taraf ye ḳhānumāñ-barbād le jaane lagā
ik sitāra mil gayā thā raat kī tamsīl meñ
āsmānoñ tak mirī fariyād le jaane lagā
maiñ hī apnī qaid meñ thā aur maiñ hī ek din
kar ke apne aap ko āzād le jaane lagā