milne kā bhī āḳhir koī imkān banāte
mushkil thī agar koī to āsān banāte
rakhte kahīñ khiḌkī kahīñ gul-dān banāte
dīvār jahāñ hai vahāñ dālān banāte
thoḌī hai bahut ek masāfat ko ye duniyā
kuchh aur safar kā sar-o-sāmān banāte
karte kahīñ ehsās ke phūloñ kī numā.ish
ḳhvāboñ se nikalte koī vijdān banāte
tasvīr banāte jo ham is shoḳh-adā kī
lāzim thā ki muskān hī muskān banāte
us jism ko kuchh aur sameTā huā rakhte
zulfoñ ko zarā aur pareshān banāte
kuchh din ke liye kaam se fursat hameñ miltī
kuchh din ke liye ḳhud ko bhī mehmān banāte
do jism kabhī ek badan ho nahīñ sakte
miltī jo koī ruuh to yak jaan banāte