shauqīn mizājoñ ke rañgīn tabī.at ke
vo log bulā laao namkīn tabī.at ke
dukh-dard ke peḌoñ par ab ke jo bahār aa.ī
phal phuul bhī aa.e haiñ ġhamgīn tabī.at ke
ḳhairāt mohabbat kī phir bhī na milī ham ko
ham laakh nazar aa.e miskīn tabī.at ke
ab ke jo nasheboñ meñ parvāz hamārī hai
ham kaun se aise the shāhīn tabī.at ke
dekhī hai bahut ham ne ye film ta.alluq kī
kuchh bol takalluf ke kuchh scene tabī.at ke
is umr meñ milte haiñ kab yaar nashe jaise
daarū kī tarah tīkhe kokīn tabī.at ke
ik umr to ham ne bhī bharpūr guzārī hai
do-chār muḳhālif the do-tīn tabī.at ke
tum bhī to miyāñ 'fāzil' apnī hī tarah ke ho
dīñ-dār zamāne ke be-dīn tabī.at ke