Fazil Jamili

misal-e-shama jala hun dhuan sa bikhra hun

Fazil Jamili

Pind khan Khel, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1968
misāl-e-sham.a jalā huuñ dhuāñ sā bikhrā huuñ
maiñ intizār kī har kaifiyat se guzrā huuñ
sab apne apne diyoñ ke asiir paa.e ga.e
maiñ chāñd ban ke ka.ī āñganoñ meñ utrā huuñ
kuchh aur baḌh ga.ī bārish meñ bebasī apnī
na baam se na kisī kī galī se guzrā huuñ
pukārtī thī mujhe sāhiloñ kī ḳhāmoshī
maiñ Duub Duub ke jo baar baar ubhrā huuñ
kyuuñ itnā mere ḳhayāloñ meñ bas gayā hai koī
kabhī kisī ke tasavvur se maiñ bhī guzrā huuñ
koī to aaj mujhe aañkh bhar ke dekhegā
maiñ aaj apne lahū meñ nahā ke nikhrā huuñ
Top Urdushayar.com