Fazil Jamili

safed-poshi-e-dil ka bharam bhi rakhna hai

Fazil Jamili

Pind khan Khel, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1968
safed-poshī-e-dil kā bharam bhī rakhnā hai
tirī ḳhushī ke liye terā ġham bhī rakhnā hai
dil o nazar meñ hazār iḳhtilāf hoñ lekin
jo ishq hai to phir un ko baham bhī rakhnā hai
bichhaḌne milne ke ma.anī judā judā kyuuñ haiñ
har ek baar jab āñkhoñ ko nam bhī rakhnā hai
hasīn hai to use apnī baat rakhne ko
karam ke saath ravā kuchh sitam bhī rakhnā hai
ziyāda der use dekhnā bhī hai 'fāzil'
aur apne aap ko thoḌā sā kam bhī rakhnā hai
Top Urdushayar.com