guzartī hai jo dil par vo kahānī yaad rakhtā huuñ
maiñ har gul-rañg chehre ko zabānī yaad rakhtā huuñ
maiñ aksar kho sā jaatā huuñ galī-kūchoñ ke jañgal meñ
magar phir bhī tire ghar kī nishānī yaad rakhtā huuñ
mujhe achchhe bure se koī nisbat hai to itnī hai
ki har nā-mehrbāñ kī mehrbānī yaad rakhtā huuñ
kabhī jo zindagī kī be-sabātī yaad aatī hai
to sab kuchh bhuul jaatā huuñ javānī yaad rakhtā huuñ
mujhe ma.alūm hai kaise badal jaatī haiñ tārīḳheñ
isī ḳhātir to maiñ bāteñ purānī yaad rakhtā huuñ