ab to ashkoñ kī ravānī meñ na rakkhī jaa.e
us kī tasvīr hai paanī meñ na rakkhī jaa.e
ek hī dil meñ Thahar jaa.eñ hamesha ke liye
zindagī naql-e-makānī meñ na rakkhī jaa.e
zinda rakhnā ho mohabbat meñ jo kirdār mirā
sā.at-e-vasl kahānī meñ na rakkhī jaa.e
yuuñ to milte haiñ sabhī log bichhaḌne ke liye
nā-gahānī ye javānī meñ na rakkhī jaa.e
bhuul jaanā hai to ai dost bhulā de mujh ko
yaad ab yād-dahānī meñ na rakkhī jaa.e
jab koī ek kashish khīñch rahī hai ham ko
kīmiyā falsafa-dānī meñ na rakkhī jaa.e
dil bhī thoḌā sā subuk-dosh-e-tamannā kar de
kuchh tabī.at bhī girānī meñ na rakkhī jaa.e