Fazil Jamili

dastanon mein mile the dastan rah jaenge

Fazil Jamili

Pind khan Khel, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1968
dāstānoñ meñ mile the dāstāñ rah jā.eñge
umr būḌhī ho to ho ham naujavāñ rah jā.eñge
shaam hote hī gharoñ ko lauT jaanā hai hameñ
sāhiloñ par sirf qadmoñ ke nishāñ rah jā.eñge
ham kisī ke dil meñ rahnā chāhte the is tarah
jis tarah ab guftugū ke darmiyāñ rah jā.eñge
ḳhvāb ko har ḳhvāb kī ta.abīr miltī hai kahāñ
kuchh ḳhayāl aise bhī haiñ jo rā.egāñ rah jā.eñge
kis ne sochā thā ki rañg-o-nūr kī bārish ke ba.ad
ham faqat bujhte charāġhoñ kā dhuāñ rah jā.eñge
zindagī be-nām rishtoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
jism kis ke saath hoñge dil kahāñ rah jā.eñge
Top Urdushayar.com