maiñ jis jagah huuñ vahāñ būd-o-bāsh kis kī hai
mire badan ke kafan meñ ye laash kis kī hai
tujhe ḳhayāl meñ lā kar gul-o-nujūm ke saath
ye dekhnā hai ki achchhī tarāsh kis kī hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī galiyoñ meñ bhī hai vīrānī
mirī udaas nazar ko talāsh kis kī hai
tumhārā kaam nahīñ to phir intizām hai kyā
dil-o-jigar pe ye ek ik ḳharāsh kis kī hai
jo aap apnī hī pasmāndagī pe naaz kare
maiñ ḳhud nahīñ to ye tarz-e-ma.āsh kis kī hai