Shahid Ghazi

in sabhi daraKHton ko aandhiyon ne ghera hai

Shahid Ghazi

in sabhī daraḳhtoñ ko āñdhiyoñ ne gherā hai
jin kī sabz shāḳhoñ par panchhiyoñ kā Derā hai
aaj ke zamāne meñ kis ko rahnumā samjheñ
ab to har qabīle kā rāhbar luTerā hai
sau diye jalā.e haiñ dostoñ ke āñgan meñ
phir bhī mere āñgan meñ har taraf añdherā hai
tujh ko kuchh ḳhabar bhī hai mere dil kī shahzādī
mere dil ke goshe meñ bas ḳhayāl terā hai
tere hijr meñ merī dekh bujh ga.iiñ āñkheñ
kuchh nazar nahīñ aatā har taraf añdherā hai
zulm sah ke bhī maiñ ne hoñT sī liye 'ġhāzī'
ek zarf un kā hai ek zarf merā hai
Top Urdushayar.com