jo tum se milā hogā jo tum ne diyā hogā
vo ġham bhī masarrat ke sāñche meñ Dhalā hogā
ai ham-safaro us kā kyā haal huā hogā
manzil ke qarīb aa kar jo shaḳhs luTā hogā
ham rāh-e-mohabbat se is tarah se guzreñge
jo naqsh-e-qadam hogā tasvīr-e-vafā hogā
ham to tumheñ hastī kā muḳhtār samajhte haiñ
jo tum ne kahā hogā achchhā hī kahā hogā
ab yuuñ hī taḌapne do mujh ko mire ġhamḳhvāro
taskīn agar doge dard aur sivā hogā
maujoñ kī ravānī se mahsūs ye hotā hai
dīvāna koī 'ġhāzī' tūfāñ se laḌā hogā