Shahid Ghazi

lagta hai jis ka ruKH-e-zeba mah-e-kaamil mujhe

Shahid Ghazi

lagtā hai jis kā ruḳh-e-zebā mah-e-kāmil mujhe
us ne hī samjhā na lekin pyaar ke qābil mujhe
yuuñ to merī dastaras meñ kyā nahīñ sab kuchh to hai
jis ko chāhā ho na paayā bas vahī hāsil mujhe
āḳhirash qātil kī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e
dekhā jab is ne taḌapte sūrat-e-bismil mujhe
māntā huuñ bul-havas bhī hote haiñ āshiq magar
un gunahgāroñ meñ kyuuñ kartā hai tū shāmil mujhe
ho gayā ġharqāb dariyā phañs ke maiñ girdāb meñ
fāsle se dekhtā hī rah gayā sāhil mujhe
kab kā kār-e-ishq meñ 'ġhāzī' kā jīvan kaT gayā
kahne do kahte haiñ jo nākāra-o-kāmil mujhe
Top Urdushayar.com