sunā hai terī zamāne pe hukmarānī hai
magar na bhuul ki do din kī zindagānī hai
chaman kī saarī bahāroñ ke tum hī mālik ho
faqat hamāre muqaddar meñ bāġhbānī hai
maiñ kaise chhoḌ duuñ ghar ko kamā.ī kī ḳhātir
maiñ ik ġharīb huuñ biTiyā mirī siyānī hai
hisār-e-behisī hargiz na toḌ pā.eñge
vo jin ko dosto sham-e-amal bujhānī hai
bahāo khul ke ġharīboñ kā be-kasoñ kā lahū
nasīb se tumheñ hāsil zar-o-javānī hai
ḳhudā kī raah pe chal kar dikhā.iye 'ġhāzī'
jo kāmyāb tumheñ zindagī banānī hai