harf-e-tahajjī siikh rahā huuñ
dariyā meñ maiñ kuud gayā huuñ
mere qadam kī aahaT pā kar
raat jo sahmī chauñk gayā huuñ
sāmne manzil aa ga.ī lekin
aage kyā hai soch rahā huuñ
terī taraf ik gaam baḌhā thā
ab maiñ ḳhud ko DhūñD rahā huuñ
kaun karegā sūrat saiqal
zañg lagā ik ā.īna huuñ
manzil se hai itnā ta.alluq
miil kā patthar ban ke khaḌā huuñ