go tire shahr meñ bhī raat rahe
sub.h tak tishna-e-hayāt rahe
dard kā chāñd bujh gayā lekin
ġham ke taare tamām raat rahe
aur bhī haiñ ta.alluqāt magar
ġham ke rishte se merī baat rahe
zindagī meñ ajal se pahle hī
kaise jāñ-kāh sānehāt rahe
ham ko un se shikāyateñ haiñ 'shamīm'
log marhūn-e-iltifāt rahe