Sakhawat Shameem

raushni dar pe khaDi mujhko bulati kyun hai

Sakhawat Shameem

Tonk, Rajasthan, India

1951
raushnī dar pe khaḌī mujh ko bulātī kyuuñ hai
maiñ añdhere meñ huuñ ehsās dilātī kyuuñ hai
raat hissa hai mirī umr kā jī lene de
zindagī chhoḌ ke tanhā mujhe jaatī kyuuñ hai
shahr ke log to saḌkoñ pe rahā karte haiñ
ghar banāne kī lagan mujh ko satātī kyuuñ hai
gumrahī se bhī mirā zauq-e-safar kam to nahīñ
raah lekin mire qadmoñ ko churātī kyuuñ hai
jāñ-ba-lab lamha-e-taskīñ mirī qismat hai 'shamīm'
be-ḳhudī phir mujhe dīvāna banātī kyuuñ hai
Top Urdushayar.com