raqs-e-āshuftā-sarī kī koī tadbīr sahī
lo mire paañv meñ ik aur bhī zanjīr sahī
imtihāñ is dil-e-pur-shauq kā karte rahiye
aur is jurm-e-vafā par koī tāzīr sahī
tān-o-dushnām se dīvāne na baaz ā.eñge
koī ilzām sahī tohmat-e-taqsīr sahī
ham to āvāra-e-sahrā haiñ hameñ kyā matlab
un kī mahfil meñ junūñ kī koī tauqīr sahī
har koī yūsuf-e-kan.āñ to nahīñ ban saktā
merā fardā hī mire ḳhvāb kī tābīr sahī
qāfile kitne hī manzil se bhaTak jaate haiñ
ham musāfir na sahī ham koī rah-gīr sahī
nāra-e-zulf-e-sanam shart-e-junūñ kyā ma.anī
dard rusvā hī sahī ishq jahāñgīr sahī