Arshi Bhopali

aaghaz-e-ashiqi ka allah re zamana

Arshi Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1921-1977
āġhāz-e-āshiqī kā allāh re zamāna
har baat bahkī bahkī har gaam vālihāna
vo sajda-hā-e-paiham vo un kā āstāna
ai kaash lauT aa.e guzrā huā zamāna
kaunain kī tavajjoh us be-ruḳhī pe sadqe
hoñToñ pe hai tabassum tevar muḳhālifāna
mujh ko na thī gavārā apnī shikast lekin
kyā kahiye us nazar kā andāz-e-fātehāna
sau baar dekh kar bhī yuuñ muztarib haiñ nazreñ
jaise guzar gayā ho dekhe hue zamāna
mahsūs ho chalī haiñ tanhā.iyāñ unheñ bhī
rakkhe ḳhudā salāmat pindār-e-āshiqāna
kyā iḳhtiyār apnā majbūriyoñ pe dil kī
maanā ki mashvara hai nāseh kā muḳhlisāna
phir chāñd aur sitāre phailā rahe haiñ zulmat
ek terī yaad se thā raushan siyāh-ḳhāna
rabt-e-nigāh-o-dil ko muddat huī hai 'arshī'
un kā mirā ta.āruf ab tak hai ġhā.ebāna
Top Urdushayar.com