nigāh-e-shauq se kab tak muqābla karte
vo iltifāt na karte to aur kyā karte
ye rasm-e-tark-e-mohabbat bhī ham adā karte
tere baġhair magar zindagī ko kyā karte
ġhurūr-e-husn ko mānūs-e-iltijā karte
vo ham nahīñ ki jo ḳhud-dāriyāñ fanā karte
kisī kī yaad ne taḌpā diyā phir aa ke hameñ
huī thī der na kuchh dil se mashvarā karte
ye pūchho husn ko ilzām dene vāloñ se
jo vo sitam bhī na kartā to aap kyā karte
sitam-shi.ār azal se hai husn kī fitrat
jo maiñ vafā bhī na kartā to vo jafā karte
hameñ to apnī tabāhī kī daad bhī na milī
tirī navāzish-e-bejā kā kyā gilā karte
nigāh-e-nāz kī māsūmiyat are tauba
jo ham fareb na khāte to aur kyā karte
nigāh-e-lutf kī taskīñ kā shukriyā lekin
matā-e-dard ko kis dil se ham judā karte