nashīlī chhāñv meñ biite hue zamānoñ ko
lagā do aag ajal ke nigār-ḳhānoñ ko
batā rahe haiñ jabīn-e-hayāt ke tevar
panāh mil nahīñ saktī ab āstānoñ ko
diye jalāo ki insāniyat ne toḌ diyā
jahān-e-zar ke rū-pahle tilism-ḳhānoñ ko
har ek gaam pe mash.al dikhā rahī hai hayāt
sitam kī aañch meñ nikhre hue zamānoñ ko
hazār dār-o-rasan Dagmagā nahīñ sakte
ajal kī god meñ khele hue javānoñ ko
bahut qarīb hai vo daur ḳhush-gavār ki jab
nigār-e-amn sajā.egī kār-ḳhānoñ ko
ḳhud aage baḌh ke qadam chūmtī hai manzil-e-shauq
ye kis ne raah dikhā.ī hai kārvānoñ ko