yaqīn-e-sub.h-e-chaman hai kitnā shu.ūr-e-abr-e-bahār kyā hai
savāl karte haiñ dasht-o-dariyā ki qāfile kā vaqār kyā hai
jo chal paḌe jāda-e-vafā par unheñ ġham-e-rozgār kyā hai
sa.ūbatoñ ke pahāḌ kyā haiñ tamāzatoñ kā ġhubār kyā hai
yahīñ pe manzil kareñge raahī yahīñ pe sab qāfile rukeñge
Thahar zarā shauq-e-sabr dushman ye dard be-iḳhtiyār kyā hai
nasīb-e-fardā pe shādmāñ haiñ junūñ ke māroñ se koī pūchhe
ye kyuuñ girebāñ hai TukḌe TukḌe ye dāman-e-tār taar kyā hai
na un kā jaada na koī manzil na nūr-o-zulmat kā farq jāneñ
unheñ ḳhabar kyā ki hai sahar kyā añdherī shab kā ḳhumār kyā hai