matā-e-shauq to hai dard-e-rozgār to hai
agar bahār nahīñ ishrat-e-bahār to hai
adā-e-chāk-e-garebāñ se bā-ḳhabar na sahī
junūn-e-shauq ko fardā kā e.atibār to hai
taras rahe haiñ dil-o-jāñ jo rañg-o-bū ke liye
mire nasīb meñ ik dasht-e-intizār to hai
kahāñ nasīb havas ko junūñ kī ārā.ish
lahū lahū hai garebān taar taar to hai
in ābloñ ko hiqārat se dekhne vaale
in ābloñ se chaman kā tire vaqār to hai
hazār tarah se rusvā haiñ ahl-e-dard to kyā
tirā dayār to hai terā rahguzār to hai
hayāt talḳh sahī roz-o-shab harām sahī
dil-o-nazar ko ye māhaul sāzgār to hai