ḳhulūs-e-alfāz kaam aayā nigāh-e-ahl-e-fitan se pahle
naved-e-dil ne mujhe pukārā sadā-e-dār-o-rasan se pahle
vajūd-e-charḳh-e-kuhan se pahle qayām-e-dar-o-rasan se pahle
hamīñ the tere chaman kī zīnat bahār-e-husn-e-chaman se pahle
sukūt-e-ġham kī adā adā ko samajh sakeñ kaash ahl-e-ālam
ishāra-hā-e-latīf bhī haiñ jabīñ pe naqsh-e-shikan se pahle
bahār-e-be-kaif kis liye hai guloñ pe rañg-e-shikast kyuuñ hai
abhī to kitnī hī bijliyāñ haiñ chaman meñ tark-e-chaman se pahle