dil ro rahā hai aañkh meñ lekin namī nahīñ
jiine ko jī rahā huuñ magar zindagī nahīñ
us ko na pā sake jise chāhā tamām umr
yuuñ to mujhe jahān meñ koī kamī nahīñ
thā pās-e-ābrū-e-mohabbat tamām umr
ik buuñd bhī palak se hamārī girī nahīñ
rahmat kā kyā javāb hai terī vagarna yaañ
vo kaun sī ḳhatā hai jo ham se huī nahīñ
'hairat' laboñ ko sī ke guzārī tamām umr
is zindagī se phir bhī hamārī banī nahīñ