Hairat Farrukhabadi

kisi ke ahd ka dil raazdar aaj bhi hai

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
kisī ke ahd kā dil rāzdār aaj bhī hai
na ā.eñge vo magar intizār aaj bhī hai
huī haiñ muddateñ bichhḌe hue magar ham-dam
tire liye mirā dil be-qarār aaj bhī hai
pilā.ī thī jo kabhī tū ne mast āñkhoñ se
surūr us kā usī kā ḳhumār aaj bhī hai
jigar ke zaḳhmoñ ko ashkoñ se ham ne sīñchā hai
chale bhī aao ke fasl-e-bahār aaj bhī hai
fareb-e-ahd-e-mohabbat kā zaḳhm hai taaza
nashāt-e-ishq se dil lāla-zār aaj bhī hai
vo zaḳhm jis ne atā kī thī zindagī 'hairat'
mirī hayāt kā parvardigār aaj bhī hai
Top Urdushayar.com