Hairat Farrukhabadi

jo ruKH se parda uThao to koi baat bane

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
jo ruḳh se parda uThāo to koī baat bane
hameñ bhī jalva dikhāo to koī baat bane
hamāre sāmne aao to koī baat bane
hamāre hosh uḌaao to koī baat bane
sunā hai tuur pe muusā gire the sajde meñ
hameñ bhī sajda karāo to koī baat bane
ġhamoñ kī aag hai dil meñ jahān jaltā hai
zarā ye aag bujhāo to koī baat bane
ajiib Dhañg se toḌā hai dil mohabbat ne
ise bhī aas bañdhāo to koī baat bane
bahut udaas hai tārīk hai jahāñ merā
kahīñ se raushnī laao to koī baat bane
ḳhirad ke diip bujhe chaar sū añdherā hai
jalāo dil hī jalāo to koī baat bane
azal se naam sunā hai sharāb-e-vahdat kā
kabhī hameñ bhī pilāo to koī baat bane
yūñhī guzār dī jo zindagī to kyā hāsil
kisī ke kaam jo aao to koī baat bane
sunā hai ham ne dikhāte ho mo.ajaze aksar
maiñ gir gayā huuñ uThāo to koī baat bane
vo jis meñ naam tumhārā hamārā aatā hai
vahī fasāna sunāo to koī baat bane
tumhārā tark-e-mohabbat bhī nā-mukammal hai
ḳhayāl meñ bhī na aao to koī baat bane
fareb khaa.e haiñ 'hairat' tarah tarah ke magar
fareb-e-ishq bhī khaao to koī baat bane
Top Urdushayar.com