dard ban ke kabhī ġham ban ke satātā hī rahā
apne hone kā vo ehsās dilātā hī rahā
vo ḳharīdār to muddat huī aatā hī rahā
maiñ dukāñ hīroñ kī palkoñ pe sajātā hī rahā
haa.e vo us ke judā hone kā manzar yārab
vo chalā bhī gayā maiñ haath hilātā hī rahā
gahrī tārīkī thī sannāTā thā par ik jugnū
raushnī kā mujhe ehsās dilātā hī rahā
har nayā daur na.e le ke charāġh aayā kiyā
ik añdherā sā magar ziist pe chhātā hī rahā
merī bezār tabī.at ko sukūñ mil na sakā
yuuñ to har roz tirī bazm meñ jaatā hī rahā
na samajh paayā ye insān mazāhib ke husūl
ghar yahāñ bhaa.ī kā ḳhud bhaa.ī jalātā hī rahā
ab ke bādal ko ḳhudā jaane huā kyā aisā
jab bhī barsā to harī fasl jalātā hī rahā
saarā din us ke tasavvur se huā kī bāteñ
ḳhvāb ban ke mirī rātoñ ko sajātā hī rahā
sher-o-fan us kā hai mamnūn dabī aahoñ meñ
apne ġham se mirī ġhazloñ ko sajātā hī rahā
vaqt ke saath badal jaatā maiñ lekin har pal
merā maazī mujhe ā.īna dikhātā hī rahā
ek ma.asūm sā pākīza sā jazba 'hairat'
jab bhī bahkā to mujhe raah pe laatā hī rahā