Hairat Farrukhabadi

dar-e-ummid wa nahin hota

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
dar-e-ummīd vā nahīñ hotā
ab vo jalva-numā nahīñ hotā
kitnī pur-lutf ziist hotī hai
jab koī aasrā nahīñ hotā
aañkh se gir gayā ho jo aañsū
vo kisī kaam kā nahīñ hotā
ḳhud garebāñ meñ jhāñk kar dekhā
koī insāñ burā nahīñ hotā
tū sabhī kā hai ik hamāre sivā
ham se bas ye gila nahīñ hotā
vahī hotā nahīñ jo ham chāheñ
varna hone ko kyā nahīñ hotā
jaan kar maiñ ḳhamosh huuñ 'hairat'
mujh se us kā gila nahīñ hotā
Top Urdushayar.com