dil dukhānā tumhārī fitrat hai
choT khānā hamārī aadat hai
mujh ko yūñhī ḳharāb honā thā
be-sabab tum ko kyuuñ nadāmat hai
jhāñk kar ek baar āñkhoñ meñ
ḳhud hī paḌh lo jo dil kī hālat hai
rāh-e-ulfat meñ jaan de denā
is se baḌh kar koī shahādat hai
terī furqat ho yā tirī qurbat
ek dozaḳh hai ek jannat hai
tum ne dekhā hai aise jalvoñ ko
kis liye mujh se phir shikāyat hai
is bharose gunāh kartā huuñ
baḳhsh denā tumhārī fitrat hai
sū-e-mai-ḳhāna uTh chale haiñ qadam
jaise ye bhī koī ibādat hai
zindagī ko sambhāl kar rakhnā
ek be-dard kī amānat hai
dard hī dard jis ke sheroñ meñ
aur hai kaun sirf 'hairat' hai