Hairat Farrukhabadi

teri be-niyaziyon ka mujhe kuchh gila nahin hai

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
tirī be-niyāziyoñ kā mujhe kuchh gila nahīñ hai
mirā dil hai ḳhuub vāqif tirā dil burā nahīñ hai
ġham-e-dost dar-haqīqat tirā rahnumā-e-manzil
vahī kam-nigāh niklā jise hausla nahīñ hai
mire ishq kā muqaddar mirī zindagī kā hāsil
ġham-e-yār ke alāva koī dūsrā nahīñ hai
tirā dard zindagī hai tirā ġham mirā muqaddar
mujhe aur chāhiye kyā mire ghar meñ kyā nahīñ hai
mujhe tū ne baḳhsh dī hai jo sazā-e-dard-e-furqat
ye to ain zindagī hai ye sazā sazā nahīñ hai
tirī justujū ke sadqe ye khulā hai raaz mujh par
ki myān-e-dair-o-ka.aba koī fāsla nahīñ hai
rah-e-ḳhalq meñ luTā de jo matā.a-e-zindagānī
vahī banda-e-ḳhudā hai vo agar ḳhudā nahīñ hai
na junūñ kī had hai koī hai na ishq hī muqayyad
kahāñ jā rahā huuñ yaaro mujhe kuchh patā nahīñ hai
ye jo raushnī hai har sū to ḳhirad hai kyoñ pareshāñ
ye jo jal rahā hai dil hai ye koī diyā nahīñ hai
mujhe ishq hai ḳhudī se maiñ farefta huuñ ḳhud par
nahīñ jo qarīb mere vo mirā ḳhudā nahīñ hai
jo mazā hai tishnagī meñ hai jo lutf-e-be-qarārī
tujhe kyā batā.ūñ hamdam tirā dil jalā nahīñ hai
kare kyuuñ asar na 'hairat' ye ġhazal tirī diloñ par
ye navā-e-sāz-e-dil hai koī falsafa nahīñ hai
Top Urdushayar.com