Hairat Farrukhabadi

jab bhi girta hun tham leta hai

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
jab bhī girtā huuñ thaam letā hai
yuuñ bhī vo intiqām letā hai
kyā shikāyat adā hai ye us kī
be-niyāzī se kaam letā hai
aisā kyā kuchh pilā diyā tū ne
jo bhī hai terā naam letā hai
chhiḌ hī jaatī hai dāstāñ merī
jab koī terā naam letā hai
sab kī nazreñ bachā ke ai 'hairat'
koī terā salām letā hai
Top Urdushayar.com