Hairat Farrukhabadi

aansuon se dil ke in daghon ko dho leta hun main

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
āñsuoñ se dil ke in dāġhoñ ko dho letā huuñ maiñ
dard jab had se guzar jaatā hai ro letā huuñ maiñ
jab satātī hai kisī kī yaad tanhā.ī ke vaqt
āñsuoñ ke haar palkoñ se piro letā huuñ maiñ
shiddat-e-ehsās-e-ġham se jab bhī ghabrātā hai dil
āñsuoñ meñ apnī aahoñ ko Dubo letā huuñ maiñ
dard-e-ulfat dard-e-duniyā aur ye nanhā sā dil
ek kuuze meñ samundar ko samo letā huuñ maiñ
vahshateñ vīrāniyāñ jis dam satātī haiñ mujhe
yaad ke takiye pe sar rakh kar ke so letā huuñ maiñ
vahshat-e-dil kā ye aalam hai ki dushman ho yā dost
jo bhī mil jaatā hai us ke saath ho letā huuñ maiñ
haa.e vo lamhe aziyyat-kosh 'hairat' kyā kahūñ
jab ḳhamoshī meñ zabāñ hote haiñ ro letā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com