Hairat Farrukhabadi

ab ada humse namaz-e-zindagi hoti nahin

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
ab adā ham se namāz-e-zindagī hotī nahīñ
dil jalāne se bhī ab to raushnī hotī nahīñ
zindagānī is qadar be-kaif hai kuchh in dinoñ
un ke aa jaane se bhī ab to ḳhushī hotī nahīñ
tez ho jaatī thī dhaḌkan aate hī terā ḳhayāl
naam terā sun ke bhī ab sansanī hotī nahīñ
husn pe martī hai duniyā jis pe aatā hai zavāl
ham se aisī chand roza āshiqī hotī nahīñ
yuuñ to ho jaatī haiñ puurī dhīre dhīre ḳhvāhisheñ
jis kī ham ko chaah hai bas ik vahī hotī nahīñ
pyaar jis ne jitnā māñgā us ko itnā de diyā
kyā ḳhazāna hai ki us meñ kuchh kamī hotī nahīñ
zabt-e-ġham kī sarhadoñ ko ham ne 'hairat' chhū liyā
ġham hoñ chāhe kitne āñkhoñ meñ namī hotī nahīñ
Top Urdushayar.com