Hairat Farrukhabadi

har bashar ka maqam likkha hai

Hairat Farrukhabadi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1930
har bashar kā maqām likkhā hai
sab kā bā-zarf kaam likkhā hai
mere likkhe pe haq kisī kā nahīñ
jo likhā tere naam likkhā hai
ham se likhvā rahā hai kis kā junūñ
kaun hai kis kā kaam likkhā hai
chiir kar dekh le mirā siina
is meñ terā hī naam likkhā hai
soch kar jab kabhī likhā maiñ ne
jo bhī likkhā hai ḳhaam likkhā hai
likhne vāloñ kā kyā kahūñ hamdam
sub.h likkhā hai shaam likkhā hai
ḳhaas likhte haiñ likhne vaale sab
jo likhā ham ne aam likkhā hai
pāniyoñ aur havā pe likh na sake
ham ne dhartī pe naam likkhā hai
jis ko jāgīr apnī vo samjhe
us pe merā bhī naam likkhā hai
zahr hī zahr apne hisse meñ
un kī qismat meñ jaam likkhā hai
us kī rahmat kā kyā gila 'hairat'
dard-o-ġham mere naam likkhā hai
Top Urdushayar.com